kyon sansen aati jati hain mushkil ke sath aaj

kyon sansen aati jati hain mushkil ke sath aaj
Javed Qamar Liyaqati
MORE BYJaved Qamar Liyaqati
kyoñ sāñseñ aatī jaatī haiñ mushkil ke saath aaj
kuchh to burā huā hai mire dil ke saath aaj
kyā baat hai akelā sar-e-āsmāñ hai kyoñ
taare nahīñ haiñ kyoñ mah-e-kāmil ke saath aaj
jis par mujhe yaqīn thā jis par ġhurūr thā
vo shaḳhs mil gayā mire qātil ke saath aaj
toḌā hai tū ne dil ko ye sābit karūñgā maiñ
huuñ sāmne maiñ tere dalā.el ke saath aaj
tūfān to nahīñ hai koī aane vaalā phir
kyoñ kashtiyāñ bañdhī haiñ ye sāhil ke saath aaj
aatī hai shaam hī se kisī bevafā kī yaad
lagtā hai raat guzregī mushkil ke saath aaj
ġhāfil kisī kī yaad meñ is darja thā 'qamar'
Takrā gayā vo rahbar-e-manzil ke saath aaj
kyon sansen aati jati hain mushkil ke sath aaj
kuchh to bura hua hai mere dil ke sath aaj
kya baat hai akela sar-e-asman hai kyon
tare nahin hain kyon mah-e-kaamil ke sath aaj
jis par mujhe yaqin tha jis par ghurur tha
wo shaKHs mil gaya mere qatil ke sath aaj
toDa hai tu ne dil ko ye sabit karunga main
hun samne main tere dalael ke sath aaj
tufan to nahin hai koi aane wala phir
kyon kashtiyan bandhi hain ye sahil ke sath aaj
aati hai sham hi se kisi bewafa ki yaad
lagta hai raat guzregi mushkil ke sath aaj
ghafil kisi ki yaad mein is darja tha 'qamar'
Takra gaya wo rahbar-e-manzil ke sath aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.