Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon tum se ilaj-e-dil-e-shaida nahin hota

Shaida Ambalvi

kyon tum se ilaj-e-dil-e-shaida nahin hota

Shaida Ambalvi

MORE BYShaida Ambalvi

    kyoñ tum se ilāj-e-dil-e-shaidā nahīñ hotā

    kyā dard-e-mohabbat mudāvā nahīñ hotā

    tūfān-e-balā-ḳhez hai har ashk-e-mohabbat

    kyūñkar kahīñ qatra kabhī dariyā nahīñ hotā

    miltā nahīñ sāġhar-e-mai bāda-kashoñ ko

    jab tak tirī āñkhoñ ishārā nahīñ hotā

    chhan-chhan ke umaDtī chalī aatī hai tajallī

    koshish bhī kareñ aap to pardā nahīñ hotā

    bekār hai arbāb-e-zamāna shikāyat

    koī bhī zamāne meñ kisī nahīñ hotā

    jab tak koī muñh moḌ na le dair-o-haram se

    asrār-e-haqīqat shanāsā nahīñ hotā

    tere sitam-o-jaur se haiñ band zabāneñ

    ya.anī tirī bedād charchā nahīñ hotā

    'shaidā' ye duā hai ki burā vaqt na aa.e

    apnā bhī bure vaqt meñ apnā nahīñ hotā

    kyon tum se ilaj-e-dil-e-shaida nahin hota

    kya dard-e-mohabbat ka mudawa nahin hota

    tufan-e-bala-KHez hai har ashk-e-mohabbat

    kyunkar kahin qatra kabhi dariya nahin hota

    milta hi nahin saghar-e-mai baada-kashon ko

    jab tak teri aankhon ka ishaara nahin hota

    chhan-chhan ke umaDti chali aati hai tajalli

    koshish bhi karen aap to parda nahin hota

    bekar hai arbab-e-zamana ki shikayat

    koi bhi zamane mein kisi ka nahin hota

    jab tak koi munh moD na le dair-o-haram se

    asrar-e-haqiqat ka shanasa nahin hota

    tere sitam-o-jaur se hain band zabanen

    yani teri bedad ka charcha nahin hota

    'shaida' ye dua hai ki bura waqt na aae

    apna bhi bure waqt mein apna nahin hota

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now