Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap

Murli Dhar Shad

kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap

Murli Dhar Shad

MORE BYMurli Dhar Shad

    kyuuñ bahār aate pahlū meñ bujhā aap aap

    yā-ilāhī mire dil ko huā kyā aap aap

    ḳhat meñ likkhā huā aa.egā judā.ī payām

    ḳhvāb meñ ḳhat ke hue harf judā aap aap

    nabzeñ Duubī huī bīmār paa.eñ shāyad

    haath mil kar koī bālīñ se uThā aap aap

    na talab thī mire dil na ishāra un

    jaam lene ko mirā haath baḌhā aap aap

    'ishq-e-sādiq kahīñ zikr huā thā shāyad

    us ne mahfil meñ mirā naam liyā aap aap

    sham'-e-mahfil tumheñ kahtā thā zamāna dekhā

    huā parvāna-e-dil uḌ ke fidā aap aap

    jazb-e-dil ye asar bazm-e-adū meñ bhī huā

    kasmasāte hue kuchh us ne kahā aap aap

    shoḳhī-e-husn jigar-soz iimā ye na thā

    bigḌī hai sham' mahfil meñ havā aap aap

    tum ne dushman se kahīñ aañkh laḌā.ī hogī

    kyuuñ huā tīr-e-nazar aaj ḳhatā aap aap

    'shād' ne aaj ye maqtal meñ tamāshā dekhā

    dast-e-qātil se lagī uḌne hinā aap aap

    kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap

    ya-ilahi mere dil ko hua kya aap hi aap

    KHat mein likkha hua aaega judai ka payam

    KHwab mein KHat ke hue harf juda aap hi aap

    nabzen Dubi hui bimar ki paen shayad

    hath mil kar koi baalin se uTha aap hi aap

    na talab thi mere dil ki na ishaara un ka

    jam lene ko mera hath baDha aap hi aap

    'ishq-e-sadiq ka kahin zikr hua tha shayad

    us ne mahfil mein mera nam liya aap hi aap

    sham'-e-mahfil tumhein kahta tha zamana dekha

    hua parwana-e-dil uD ke fida aap hi aap

    jazb-e-dil ka ye asar bazm-e-adu mein bhi hua

    kasmasate hue kuchh us ne kaha aap hi aap

    shoKHi-e-husn jigar-soz ka ima ye na tha

    bigDi hai sham' ki mahfil mein hawa aap hi aap

    tum ne dushman se kahin aankh laDai hogi

    kyun hua tir-e-nazar aaj KHata aap hi aap

    'shad' ne aaj ye maqtal mein tamasha dekha

    dast-e-qatil se lagi uDne hina aap hi aap

    Source:

    Gul-o-Anjum (Pg. 142)

    • Author: Murli Dhar Shad
      • Edition: 1950
      • Year of Publication: 1950
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now