kyunki hum duniya mein aae kuchh sabab khulta nahin

Bahadur Shah Zafar

kyunki hum duniya mein aae kuchh sabab khulta nahin

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

  kyūñki ham duniyā meñ aa.e kuchh sabab khultā nahīñ

  ik sabab kyā bhed vaañ sab sab khultā nahīñ

  pūchhtā hai haal bhī gar vo to maare sharm ke

  ġhuncha-e-tasvīr ke mānind lab khultā nahīñ

  shāhid-e-maqsūd tak pahuñcheñge kyūñkar dekhiye

  band hai bāb-e-tamannā hai ġhazab khultā nahīñ

  band hai jis ḳhāna-e-zindāñ meñ dīvāna terā

  us darvāza parī-rū roz o shab khultā nahīñ

  dil hai ye ġhuncha nahīñ hai is uqda ai sabā

  kholne jab talak aave na Dhab khultā nahīñ

  ishq ne jin ko kiyā ḳhātir-girafta un dil

  laakh hove garche sāmān-e-tarab khultā nahīñ

  kis tarah mālūm hove us ke dil mudda.ā

  mujh se bātoñ meñ 'zafar' vo ġhuncha-lab khultā nahīñ

  kyunki hum duniya mein aae kuchh sabab khulta nahin

  ek sabab kya bhed wan ka sab ka sab khulta nahin

  puchhta hai haal bhi gar wo to mare sharm ke

  ghuncha-e-taswir ke manind lab khulta nahin

  shahid-e-maqsud tak pahunchenge kyunkar dekhiye

  band hai bab-e-tamanna hai ghazab khulta nahin

  band hai jis KHana-e-zindan mein diwana tera

  us ka darwaza pari-ru roz o shab khulta nahin

  dil hai ye ghuncha nahin hai is ka uqda ai saba

  kholne ka jab talak aawe na Dhab khulta nahin

  ishq ne jin ko kiya KHatir-girafta un ka dil

  lakh howe garche saman-e-tarab khulta nahin

  kis tarah malum howe us ke dil ka muddaa

  mujh se baaton mein 'zafar' wo ghuncha-lab khulta nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY