Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh bujhao bujhti nahin hai KHirman-e-jaan se madfan tak

Ghulam Mustafa Faraz

lakh bujhao bujhti nahin hai KHirman-e-jaan se madfan tak

Ghulam Mustafa Faraz

MORE BYGhulam Mustafa Faraz

    laakh bujhāo bujhtī nahīñ hai ḳhirman-e-jāñ se madfan tak

    ātish-e-gul jab aa jaatī hai baḌhte baḌhte dāman tak

    ik vaqt aisā aa.egā zanjīr-e-safar bhī TūTegī

    saath mire jab ruk jā.egā 'umr-e-ravāñ tausan tak

    zarra zarra arz-o-samā apnī qīmat rakhtā hai

    husn-e-nazar khel hai saarā vīrāne se gulshan tak

    khulte muTThī ham-safaroñ par sakte jaisā 'ālam thā

    dekh ke mere raḳht-e-safar ko nam-dīda thā rahzan tak

    is duniyā ne ham par us ke darvāze jab band kiye

    ham ne ḳhud ko ḳhaak kiyā aur uḌ kar pahuñche rauzan tak

    lakh bujhao bujhti nahin hai KHirman-e-jaan se madfan tak

    aatish-e-gul jab aa jati hai baDhte baDhte daman tak

    ek waqt aisa aaega zanjir-e-safar bhi TuTegi

    sath mere jab ruk jaega 'umr-e-rawan ka tausan tak

    zarra zarra arz-o-sama ka apni qimat rakhta hai

    husn-e-nazar ka khel hai sara virane se gulshan tak

    khulte hi muTThi ham-safaron par sakte jaisa 'alam tha

    dekh ke mere raKHt-e-safar ko nam-dida tha rahzan tak

    is duniya ne hum par us ke darwaze jab band kiye

    hum ne KHud ko KHak kiya aur uD kar pahunche rauzan tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now