lab agar yun siye nahin hote
lab agar yuuñ siye nahīñ hote
us ne dā've kiye nahīñ hote
ḳhuub hai ḳhūb-tar hai ḳhūb-tarīn
is tarah tajziye nahīñ hote
gar nadāmat se tum ko bachnā thā
faisle ḳhud kiye nahīñ hote
baat bainassutūr hotī hai
she'r meñ hāshiye nahīñ hote
tīrgī se na kiije andāza
kuchh gharoñ meñ diye nahīñ hote
zarf hai shart-e-avvalīñ 'mohsin'
jaam sab ke liye nahīñ hote
lab agar yun siye nahin hote
us ne da'we kiye nahin hote
KHub hai KHub-tar hai KHub-tarin
is tarah tajziye nahin hote
gar nadamat se tum ko bachna tha
faisle KHud kiye nahin hote
baat bainassutur hoti hai
she'r mein hashiye nahin hote
tirgi se na kije andaza
kuchh gharon mein diye nahin hote
zarf hai shart-e-awwalin 'mohsin'
jam sab ke liye nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.