Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur

Imtiyaz Danish Nadwi

lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur

Imtiyaz Danish Nadwi

MORE BYImtiyaz Danish Nadwi

    lafz kuchh aur haiñ abrū ishāra kuchh aur

    ab ke lagtā hai ki zālim hai manshā kuchh aur

    mujh ko ma.alūm na thā aisī bhī hotī hogī

    zindagī thā tasavvur meñ to naqshā kuchh aur

    yuuñ ḳhamoshī se nahātā nahīñ ḳhuuñ meñ apne

    ai mirī ḳhāk-e-vatan tujh se hai va.ada kuchh aur

    bad-gumānī bhī nahīñ itnī kisī se achchhī

    maiñ ne kuchh aur kahā aap ne samjhā kuchh aur

    aur bhī kitne tarīqe the sitam ke raa.ij

    zulm Dhāne magar terā tarīqa kuchh aur

    zulm umr bahut lambī nahīñ hotī hai

    sabr se kar lo sitam us ke gavāra kuchh aur

    khel kuchh aur madārī ke abhī baaqī haiñ

    chāhte bhī haiñ ki dekheñ ye tamāsha kuchh aur

    zindagī jaisī bhī ho shikva nahīñ karte 'dānish'

    dard-mandoñ hai jiine tarīqa kuchh aur

    lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur

    ab ke lagta hai ki zalim ka hai mansha kuchh aur

    mujh ko malum na tha aisi bhi hoti hogi

    zindagi ka tha tasawwur mein to naqsha kuchh aur

    yun KHamoshi se nahata nahin KHun mein apne

    ai meri KHak-e-watan tujh se hai wada kuchh aur

    bad-gumani bhi nahin itni kisi se achchhi

    main ne kuchh aur kaha aap ne samjha kuchh aur

    aur bhi kitne tariqe the sitam ke raij

    zulm Dhane ka magar tera tariqa kuchh aur

    zulm ki umr bahut lambi nahin hoti hai

    sabr se kar lo sitam us ke gawara kuchh aur

    khel kuchh aur madari ke abhi baqi hain

    chahte bhi hain ki dekhen ye tamasha kuchh aur

    zindagi jaisi bhi ho shikwa nahin karte 'danish'

    dard-mandon ka hai jine ka tariqa kuchh aur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now