Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui

Jayant Parmar

lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui

Jayant Parmar

MORE BYJayant Parmar

    lafzoñ tasvīr banātī dil meñ qaid huī

    ek samay vo achchhī laḌkī dil meñ qaid huī

    kore kāġhaz par kheñchī thī maiñ ne ik tasvīr

    jañgal jañgal uḌtī titlī dil meñ qaid huī

    us ke baad vahī tasvīreñ sab ko dikhātā huuñ

    ḳhvāboñ vo duniyā saarī dil meñ qaid huī

    dil ko dukhātī hai phir bhī kyuuñ achchhī lagtī hai

    yādoñ ye shaam suhānī dil meñ qaid huī

    kaun taarā us ghar hai soch rahā thā maiñ

    raat parī āñgan meñ utrī dil meñ qaid huī

    āvāra bādal the ham bhī kyā karte āḳhir

    ek kiran ghar meñ le aa.ī dil meñ qaid huī

    lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui

    ek samay wo achchhi laDki dil mein qaid hui

    kore kaghaz par khenchi thi main ne ek taswir

    jangal jangal uDti titli dil mein qaid hui

    us ke baad wahi taswiren sab ko dikhata hun

    KHwabon ki wo duniya sari dil mein qaid hui

    dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai

    yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui

    kaun sa tara us ka ghar hai soch raha tha main

    raat pari aangan mein utri dil mein qaid hui

    aawara baadal the hum bhi kya karte aaKHir

    ek kiran ghar mein le aai dil mein qaid hui

    RECITATIONS

    Jayant Parmar

    Jayant Parmar,

    Jayant Parmar

    lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui Jayant Parmar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now