lafzon par wishwas nahin hai
lafzoñ par vishvās nahīñ hai
ḳhāmoshī bhī raas nahīñ hai
jitnā Duubā huuñ duniyā meñ
utnī gahrī pyaas nahīñ hai
āḳhir ghar ko lauT ā.ūñgā
van meñ huuñ vanvās nahīñ hai
maiñ ne kyā kyā dard uThā.e
tum ko zarā ehsās nahīñ hai
jaane kal ho kis ke pīchhe
bhiiḌ kisī kī daas nahīñ hai
chhoTī sī hai merī kahānī
sadiyoñ kā itihās nahīñ hai
apnī ḳhaak uḌā aayā huuñ
tan par koī libās nahīñ hai
lafzon par wishwas nahin hai
KHamoshi bhi ras nahin hai
jitna Duba hun duniya mein
utni gahri pyas nahin hai
aaKHir ghar ko lauT aaunga
wan mein hun wanwas nahin hai
main ne kya kya dard uThae
tum ko zara ehsas nahin hai
jaane kal ho kis ke pichhe
bhiD kisi ki das nahin hai
chhoTi si hai meri kahani
sadiyon ka itihas nahin hai
apni KHak uDa aaya hun
tan par koi libas nahin hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 100)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.