Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lag gai mujhko ye kis shaKHs ki hae hae

Ishraque Azizi

lag gai mujhko ye kis shaKHs ki hae hae

Ishraque Azizi

MORE BYIshraque Azizi

    lag ga.ī mujh ko ye kis shaḳhs haa.e haa.e

    ek lamha bhī mujhe chain na aa.e haa.e

    siskiyāñ āh-o-fuġhāñ aur maiñ kyā kyā dekhūñ

    zulm itnā bhī koī mujh pe na Dhaa.e haa.e

    jaam hāthoñ se pilātā hai vo har shaam ke ba.ad

    kaash hoñToñ se bhī ik roz pilā.e haa.e

    mere mahbūb tire ruḳh ziyārat ke liye

    chāñd chāñdnī khiḌkī se bulā.e haa.e

    ishq ke jurm meñ karvā ke giraftār mujhe

    koī pāzeb jhankār sunā.e haa.e

    dil churāte haiñ sabhī din ke ujāle meñ magar

    koī rātoñ ko mirā ḳhvāb churā.e haa.e

    dāstāñ ġham maiñ jab jab bhī likhūñ kāġhaz par

    aks us māh-jabīñ ubhar aa.e haa.e

    sāmnā ho to churā le vo nigāheñ mujh se

    duur jaa.e to ishāre se bulā.e haa.e

    us uñglī meñ vo tāsīr ki lazzat baḳhshe

    jab bhī vo chaa.e meñ uñglī ko ghumā.e haa.e

    us ko maiñ dekh ke aayā huuñ to kyā dekhtā huuñ

    us ke ushshāq mujhe dekhne aa.e haa.e

    toḌ kar dil vo mirā jab se gayā hai 'ishrāq'

    dil se har vaqt nikaltī hai sadā-e-hā.e

    lag gai mujh ko ye kis shaKHs ki hae hae

    ek lamha bhi mujhe chain na aae hae

    siskiyan aah-o-fughan aur main kya kya dekhun

    zulm itna bhi koi mujh pe na Dhae hae

    jam hathon se pilata hai wo har sham ke baad

    kash honTon se bhi ek roz pilae hae

    mere mahbub tere ruKH ki ziyarat ke liye

    chand ki chandni khiDki se bulae hae

    ishq ke jurm mein karwa ke giraftar mujhe

    koi pazeb ki jhankar sunae hae

    dil churaate hain sabhi din ke ujale mein magar

    koi raaton ko mera KHwab churae hae

    dastan gham ki main jab jab bhi likhun kaghaz par

    aks us mah-jabin ka ubhar aae hae

    samna ho to chura le wo nigahen mujh se

    dur jae to ishaare se bulae hae

    us ki ungli mein wo tasir ki lazzat baKHshe

    jab bhi wo chae mein ungli ko ghumae hae

    us ko main dekh ke aaya hun to kya dekhta hun

    us ke ushshaq mujhe dekhne aae hae

    toD kar dil wo mera jab se gaya hai 'ishraq'

    dil se har waqt nikalti hai sada-e-hae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now