lahu bhi KHushk hota hai teri aankhon ka pani bhi
lahū bhī ḳhushk hotā hai tirī āñkhoñ kā paanī bhī
Thaharne ko hai koī dam meñ dariyā kī ravānī bhī
ḳhulūs-o-mehr kā dāman hamesha tang rahtā hai
ġhanīmat hai jo mil jaa.e tumhārī bad-gumānī bhī
sitam kis par ravā hogā tashaddud kaun jhelegā
jo mujh se chhīn loge tum matā’-e-zindagānī bhī
agar tum hī burā maano to phir ilzām kis par duuñ
tumhīñ se rahzanī sīkhī tumhīñ se pāsbānī bhī
tumhārī har nazar par munhasir hai jis tarah dekho
ye chehra ik haqīqat hai ye chehra dāstānī bhī
magar mere ta'alluq kā ye jazba ab kahāñ jaa.e
makāñ to siikh baiThe haiñ adā-e-lā-makānī bhī
ye shāyad āsmānoñ ke karishme haiñ 'shamīm' iiñ jā
qabā mailī bhī hotī hai qabā hotī hai dhānī bhī
lahu bhi KHushk hota hai teri aankhon ka pani bhi
Thaharne ko hai koi dam mein dariya ki rawani bhi
KHulus-o-mehr ka daman hamesha tang rahta hai
ghanimat hai jo mil jae tumhaari bad-gumani bhi
sitam kis par rawa hoga tashaddud kaun jhelega
jo mujh se chhin loge tum mata’-e-zindagani bhi
agar tum hi bura mano to phir ilzam kis par dun
tumhin se rahzani sikhi tumhin se pasbani bhi
tumhaari har nazar par munhasir hai jis tarah dekho
ye chehra ek haqiqat hai ye chehra dastani bhi
magar mere ta'alluq ka ye jazba ab kahan jae
makan to sikh baiThe hain ada-e-la-makani bhi
ye shayad aasmanon ke karishme hain 'shamim' in ja
qaba maili bhi hoti hai qaba hoti hai dhani bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.