lahu ki barishen sholon ke tufan hain jahan main hun
lahū kī bārisheñ sho'loñ ke tūfāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
bahut hī kam vahāñ jiine ke imkāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
ye dhartī laakh chīḳhe ek bhī suntā nahīñ koī
ishāroñ par falak ke log raqsāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
bhalā kis muñh se ab tanqīd zulmat par kare koī
ki sham'eñ ḳhud añdheroñ kī sanā-ḳhvāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
maiñ apne āñsuoñ kā mol kyā māñgūñ ki ye motī
girāñ haiñ jis qadar itne hī arzāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
ab is ke baad shāyad vo hasīñ manzar na aa.egā
abhī to sirf nazreñ hī pareshāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
ye teġh-o-vār kā mausam guzar jaa.e to batlā.ūñ
abhī se kyā kahūñ kitne musalmāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
lahū meñ tar haiñ shāḳheñ phuul patte haiñ sabhī zaḳhmī
shajar saare baham dast-o-garebāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
ġham-e-insāñ meñ yuuñ to har koī aañsū bahātā hai
magar insāniyat se sab gurezāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
unheñ ye ġham ki ik mere hī tan par pairahan kyoñ hai
mujhe ye dukh ki saare jism 'uryāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
jo andhe haiñ unheñ nazroñ kī chāhat ho to ho 'najmī'
nazar vaale to nazroñ se pareshāñ haiñ jahāñ maiñ huuñ
lahu ki barishen sho'lon ke tufan hain jahan main hun
bahut hi kam wahan jine ke imkan hain jahan main hun
ye dharti lakh chiKHe ek bhi sunta nahin koi
ishaaron par falak ke log raqsan hain jahan main hun
bhala kis munh se ab tanqid zulmat par kare koi
ki sham'en KHud andheron ki sana-KHwan hain jahan main hun
main apne aansuon ka mol kya mangun ki ye moti
giran hain jis qadar itne hi arzan hain jahan main hun
ab is ke baad shayad wo hasin manzar na aaega
abhi to sirf nazren hi pareshan hain jahan main hun
ye tegh-o-war ka mausam guzar jae to batlaun
abhi se kya kahun kitne musalman hain jahan main hun
lahu mein tar hain shaKHen phul patte hain sabhi zaKHmi
shajar sare baham dast-o-gareban hain jahan main hun
gham-e-insan mein yun to har koi aansu bahata hai
magar insaniyat se sab gurezan hain jahan main hun
unhen ye gham ki ek mere hi tan par pairahan kyon hai
mujhe ye dukh ki sare jism 'uryan hain jahan main hun
jo andhe hain unhen nazron ki chahat ho to ho 'najmi'
nazar wale to nazron se pareshan hain jahan main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.