Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu mein aaj-kal hiddat bahut mushkil se aati hai

Masood Hassas

lahu mein aaj-kal hiddat bahut mushkil se aati hai

Masood Hassas

MORE BYMasood Hassas

    lahū meñ āj-kal hiddat bahut mushkil se aatī hai

    kisī ke dard chāhat bahut mushkil se aatī hai

    ye sach hai jur.at-e-rindāna se qismat badaltī hai

    magar har shaḳhs meñ jur.at bahut mushkil se aatī hai

    ki is ke vāste neze pe sar ko rakhnā paḌtā hai

    miyāñ haq-goī tāqat bahut mushkil se aatī hai

    ġharībī ko to mil jaatī hai do vaqt roTī

    magar daulat ke ghar rāhat bahut mushkil se aatī hai

    lahū ghūñT bharte haiñ tabhī chashma ubaltā hai

    kisī ke sher meñ jiddat bahut mushkil se aatī hai

    yahāñ par chand sikkoñ ke evaz īmān biktā hai

    diloñ meñ diin chāhat bahut mushkil se aatī hai

    lahu mein aaj-kal hiddat bahut mushkil se aati hai

    kisi ke dard ki chahat bahut mushkil se aati hai

    ye sach hai jurat-e-rindana se qismat badalti hai

    magar har shaKHs mein jurat bahut mushkil se aati hai

    ki is ke waste neze pe sar ko rakhna paDta hai

    miyan haq-goi ki taqat bahut mushkil se aati hai

    gharibi ko to mil hi jati hai do waqt ki roTi

    magar daulat ke ghar rahat bahut mushkil se aati hai

    lahu ka ghunT bharte hain tabhi chashma ubalta hai

    kisi ke sher mein jiddat bahut mushkil se aati hai

    yahan par chand sikkon ke ewaz iman bikta hai

    dilon mein din ki chahat bahut mushkil se aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now