lahu mein apni miTTi ka asar taqsim hota hai
lahū meñ apnī miTTī kā asar taqsīm hotā hai
zamīñ taqsīm hone se bashar taqsīm hotā hai
mayassar hai sukūnat us madīne kī jahāñ aksar
añdherā bhī ḳhudā ke naam par taqsīm hotā hai
parinde chahchahānā bhūlte jaate haiñ is Dar se
havāoñ meñ jo nā-mā'lūm Dar taqsīm hotā hai
yuuñ apne bhā.iyoñ ke darmiyāñ sahmā sā rahtā huuñ
maiñ koī baat kartā huuñ to ghar taqsīm hotā hai
judā hoñ to faqat āñgan meñ dīvāreñ nahīñ uThtīñ
jo sīñchā thā mirī maañ ne shajar taqsīm hotā hai
shajar taqsīm hone se faqat saaya nahīñ kaTtā
ruteñ taqsīm hotī haiñ samar taqsīm hotā hai
kahāñ hai vo ikaa.ī sī jo pas-manzar meñ hotī thī
jo manzar hai mire pesh-e-nazar taqsīm hotā hai
usī ke sāmne dāman-kushā rahtā huuñ sadiyoñ se
vo jis ke izn se 'at.har' hunar taqsīm hotā hai
lahu mein apni miTTi ka asar taqsim hota hai
zamin taqsim hone se bashar taqsim hota hai
mayassar hai sukunat us madine ki jahan aksar
andhera bhi KHuda ke nam par taqsim hota hai
parinde chahchahana bhulte jate hain is Dar se
hawaon mein jo na-ma'lum Dar taqsim hota hai
yun apne bhaiyon ke darmiyan sahma sa rahta hun
main koi baat karta hun to ghar taqsim hota hai
juda hon to faqat aangan mein diwaren nahin uThtin
jo sincha tha meri man ne shajar taqsim hota hai
shajar taqsim hone se faqat saya nahin kaTta
ruten taqsim hoti hain samar taqsim hota hai
kahan hai wo ikai si jo pas-manzar mein hoti thi
jo manzar hai mere pesh-e-nazar taqsim hota hai
usi ke samne daman-kusha rahta hun sadiyon se
wo jis ke izn se 'athar' hunar taqsim hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.