lahu pukar ke chup hai zamin bolti hai
lahū pukār ke chup hai zamīn boltī hai
maiñ jhūmtā huuñ ki ye kā.enāt Doltī hai
abhī zamīn pe utregī us darīche se
vo raushnī jo musāfir kī raah kholtī hai
mazā to ye hai ki vo zahr meñ bujhī āvāz
kabhī kabhī mire kānoñ meñ shahd gholtī hai
ajiib rabt hai gūñgī rafāqatoñ se mujhe
vo sochtā hai to merī zabān boltī hai
talāsh meñ huuñ tavāzun kahīñ nahīñ miltā
har ek chehra ko merī nigāh taultī hai
jo be-uḌān haiñ 'ālam' vo kis shumār meñ haiñ
havā bhī uḌte parinde ke par TaToltī hai
lahu pukar ke chup hai zamin bolti hai
main jhumta hun ki ye kaenat Dolti hai
abhi zamin pe utregi us dariche se
wo raushni jo musafir ki rah kholti hai
maza to ye hai ki wo zahr mein bujhi aawaz
kabhi kabhi mere kanon mein shahd gholti hai
ajib rabt hai gungi rafaqaton se mujhe
wo sochta hai to meri zaban bolti hai
talash mein hun tawazun kahin nahin milta
har ek chehra ko meri nigah taulti hai
jo be-uDan hain 'alam' wo kis shumar mein hain
hawa bhi uDte parinde ke par TaTolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.