lahu se naqsh ibarat na mere kaam aai
lahū se naqsh 'ibārat na mere kaam aa.ī
in āñsuoñ kī sifārat na mere kaam aa.ī
mirī lahad pe 'abas bojh kis ne Daal diyā
ye pattharoñ kī 'imārat na mere kaam aa.ī
rahā najis kā najis hī ki mail thā dil meñ
mire badan kī tahārat na mere kaam aa.ī
vahāñ pe chashm-e-basīrat ne merā saath diyā
jahāñ pe chashm-e-basārat na mere kaam aa.ī
maiñ tishna-lab rahā saaqī rahā ki rind rahā
vo mai-kadoñ kī sadārat na mere kaam aa.ī
ye hukm-e-yār thā fariyād ho sar-e-mahfil
so ḳhāmushī kī jasārat na mere kaam aa.ī
uThā diyā gayā marne ke baa'd phir mujh ko
sukūt-e-dil kī sharārat na mere kaam aa.ī
vo mutribān-e-hayāt aise ḳhush-gulū the 'amar'
ajal kī koī bashārat na mere kaam aa.ī
lahu se naqsh 'ibarat na mere kaam aai
in aansuon ki sifarat na mere kaam aai
meri lahad pe 'abas bojh kis ne Dal diya
ye pattharon ki 'imarat na mere kaam aai
raha najis ka najis hi ki mail tha dil mein
mere badan ki tahaarat na mere kaam aai
wahan pe chashm-e-basirat ne mera sath diya
jahan pe chashm-e-basarat na mere kaam aai
main tishna-lab raha saqi raha ki rind raha
wo mai-kadon ki sadarat na mere kaam aai
ye hukm-e-yar tha fariyaad ho sar-e-mahfil
so KHamushi ki jasarat na mere kaam aai
uTha diya gaya marne ke ba'd phir mujh ko
sukut-e-dil ki shararat na mere kaam aai
wo mutriban-e-hayat aise KHush-gulu the 'amar'
ajal ki koi bashaarat na mere kaam aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.