Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha-e-talKHi-e-guftar talak le aaya

Ashfaq Husain

lamha-e-talKHi-e-guftar talak le aaya

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    lamha-e-talḳhī-e-guftār talak le aayā

    vo mujhe apne me.aar talak le aayā

    kyā rakhe us se koī silsila-e-guft-o-shunīd

    ghar bātoñ ko jo bāzār talak le aayā

    maiñ ne jo baat bharose pe kahī thī us se

    vo use surḳhi-e-aḳhbār talak le aayā

    ghar meñ jab kuchh na bachā us iāñat ke liye

    maiñ uThā kar dar-o-dīvār talak le aayā

    us āñkhoñ meñ ajab sehr thā maiñ jis ke sabab

    dil bāteñ lab-e-iz.hār talak le aayā

    vo jo qaa.il na thā merī mohabbat use

    rafta rafta had-e-iqrār talak le aayā

    mere har jhuuT ko duniyā ne sarāhā lekin

    ek sach marhala-e-dār talak le aayā

    lamha-e-talKHi-e-guftar talak le aaya

    wo mujhe apne hi mear talak le aaya

    kya rakhe us se koi silsila-e-guft-o-shunid

    ghar ki baaton ko jo bazar talak le aaya

    main ne jo baat bharose pe kahi thi us se

    wo use surKHi-e-aKHbar talak le aaya

    ghar mein jab kuchh na bacha us ki ianat ke liye

    main uTha kar dar-o-diwar talak le aaya

    us ki aankhon mein ajab sehr tha main jis ke sabab

    dil ki baaten lab-e-izhaar talak le aaya

    wo jo qail hi na tha meri mohabbat ka use

    rafta rafta had-e-iqrar talak le aaya

    mere har jhuT ko duniya ne saraha lekin

    ek sach marhala-e-dar talak le aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now