lamhon ki tarah milna us ka sadiyon ki tarah gum ho jaana

lamhon ki tarah milna us ka sadiyon ki tarah gum ho jaana
Ishrat Afreen
MORE BYIshrat Afreen
lamhoñ kī tarah milnā us kā sadiyoñ kī tarah gum ho jaanā
yā apne kisī Thikāne se chīzoñ kī tarah gum ho jaanā
yā uñglī thaam ke chal paḌnā yādoñ ke sunahre raste par
yā haath chhuḌā kar mele meñ bachchoñ kī tarah gum ho jaanā
yā dhyān ke kone-khudre meñ yādoñ kī tarah se paḌ rahnā
yā aañkh jhapakte manzar se ḳhvāboñ kī tarah gum ho jaanā
yā kisī purānī kashtī kī sūrat sāhil kā ho rahnā
yā aan kī aan ḳhafā ho kar lahroñ kī tarah gum ho jaanā
yā āñdhī sā laḌnā us kā yā bādal sā ronā us kā
yā sard havāoñ ke Dar se chiḌiyoñ kī tarah gum ho jaanā
yā qaus-e-quzah sā raste meñ bāñheñ phailā.e mil jaanā
yā muTThī meñ aa jaate hī rangoñ kī tarah gum ho jaanā
yā phaTī purānī chunrī sā kāñToñ kī baaḌh pe lahrānā
yā na.ī-navelī dul.han ke gahnoñ kī tarah gum ho jaanā
yā kisī payambar lamhe meñ vijdān ke ziine tai karnā
yā nok-e-qalam tak aate hī lafzoñ kī tarah gum ho jaanā
yā us kā kitāb-e-dil pe kahīñ sab naam pata likkhā honā
yā chhoTe-chhoTe kāġhaz ke purzoñ kī tarah gum ho jaanā
ik shaam achānak aa jaanā be-āhaT be-dastak us kā
ik raat sirhāne likh rakkhī nazmoñ kī tarah gum ho jaanā
lamhon ki tarah milna us ka sadiyon ki tarah gum ho jaana
ya apne kisi Thikane se chizon ki tarah gum ho jaana
ya ungli tham ke chal paDna yaadon ke sunahre raste par
ya hath chhuDa kar mele mein bachchon ki tarah gum ho jaana
ya dhyan ke kone-khudre mein yaadon ki tarah se paD rahna
ya aankh jhapakte manzar se KHwabon ki tarah gum ho jaana
ya kisi purani kashti ki surat sahil ka ho rahna
ya aan ki aan KHafa ho kar lahron ki tarah gum ho jaana
ya aandhi sa laDna us ka ya baadal sa rona us ka
ya sard hawaon ke Dar se chiDiyon ki tarah gum ho jaana
ya qaus-e-quzah sa raste mein banhen phailae mil jaana
ya muTThi mein aa jate hi rangon ki tarah gum ho jaana
ya phaTi purani chunri sa kanTon ki baDh pe lahrana
ya nai-naweli dulhan ke gahnon ki tarah gum ho jaana
ya kisi payambar lamhe mein wijdan ke zine tai karna
ya nok-e-qalam tak aate hi lafzon ki tarah gum ho jaana
ya us ka kitab-e-dil pe kahin sab nam pata likkha hona
ya chhoTe-chhoTe kaghaz ke purzon ki tarah gum ho jaana
ek sham achanak aa jaana be-ahaT be-dastak us ka
ek raat sirhane likh rakkhi nazmon ki tarah gum ho jaana
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 62)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.