Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya

Shad Azimabadi

le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    le ke ḳhud pīr-e-muġhāñ haath meñ miinā aayā

    mai-kasho sharm ki is par bhī na piinā aayā

    na pilānā kisī mai-kash ko na piinā aayā

    tujh ko zāhid agar aayā bhī to kiina aayā

    umr bhar ḳhūn-e-jigar baiTh ke piinā aayā

    ārzūo tumheñ marnā hameñ jiinā aayā

    dil ne dekhā mujhe aur maiñ ne falak ko dekhā

    bach ke sāhil pe agar koī safīnā aayā

    kisī badmast yaad aa ga.iiñ āñkheñ saaqī

    jab chhalaktā huā aage mire miinā aayā

    ik zarā thī kabhī ḳhalish us par ai hashr

    dil meñ letā huā zāhid vahī kiina aayā

    laḌkhaḌānā koī sīkhā koī sīkhā mastī

    ham ko aayā to faqat Dhaal ke piinā aayā

    ḳhush ho ai chashm ki hai fasl yahī rone

    muzhda ai abr ki sāvan mahīna aayā

    lenī thī jo mai-ḳhāne ko aa niklā thā

    tujh ko sohbat bhī zāhid na qarīnā aayā

    chāhā jo kuchh vo zamāne ne kiyā naqsh is par

    maiñ to saada liye is dil nagīna aayā

    aaj tak dāman-e-gul chaak hai ḳhayyāt-e-azal

    tujh ko ḳhil.at bhī hasīnoñ na siinā aayā

    dekh chāroñ taraf apne ki tamāshā kyā hai

    le ke is bazm meñ dīda-e-bīnā aayā

    muñh pe āshiq ke mohabbat shikāyat nāseh

    baat karne bhī nādāñ na qarīnā aayā

    kis tarah milte haiñ bichhḌoñ se dikhā deñge kabhī

    dil meñ vo tiir agar chiir ke siinā aayā

    Dhaal kar dete haiñ kis ko kise be-Dhāle hue

    mere saaqī ko to ye bhī na qarīnā aayā

    zindagī karte haiñ kis tarah ye sīkho is vaqt

    'shād' kyā naf.a agar marne pe jiinā aayā

    le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya

    mai-kasho sharm ki is par bhi na pina aaya

    na pilana kisi mai-kash ko na pina aaya

    tujh ko zahid agar aaya bhi to kina aaya

    umr bhar KHun-e-jigar baiTh ke pina aaya

    aarzuo tumhein marna hamein jina aaya

    dil ne dekha mujhe aur main ne falak ko dekha

    bach ke sahil pe agar koi safina aaya

    kisi badmast ki yaad aa gain aankhen saqi

    jab chhalakta hua aage mere mina aaya

    ek zara si thi kabhi ki KHalish us par ai hashr

    dil mein leta hua zahid wahi kina aaya

    laDkhaDana koi sikha koi sikha masti

    hum ko aaya to faqat Dhaal ke pina aaya

    KHush ho ai chashm ki hai fasl yahi rone ki

    muzhda ai abr ki sawan ka mahina aaya

    pi hi leni thi jo mai-KHane ko aa nikla tha

    tujh ko sohbat ka bhi zahid na qarina aaya

    chaha jo kuchh wo zamane ne kiya naqsh is par

    main to sada liye is dil ka nagina aaya

    aaj tak daman-e-gul chaak hai KHayyat-e-azal

    tujh ko KHilat bhi hasinon ka na sina aaya

    dekh chaaron taraf apne ki tamasha kya hai

    le ke is bazm mein tu dida-e-bina aaya

    munh pe aashiq ke mohabbat ki shikayat naseh

    baat karne ka bhi nadan na qarina aaya

    kis tarah milte hain bichhDon se dikha denge kabhi

    dil mein wo tir agar chir ke sina aaya

    Dhaal kar dete hain kis ko kise be-Dhaale hue

    mere saqi ko to ye bhi na qarina aaya

    zindagi karte hain kis tarah ye sikho is waqt

    'shad' kya nafa agar marne pe jina aaya

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 33)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now