lo panw hi ab toD liye humne to apne
lo paañv hī ab toḌ liye ham ne to apne
kah do ki safar ab hameñ karnā na paḌegā
is lamha-e-maujūd ko jī lene kī ḳhātir
kyā 'arsa-e-māzī meñ utarnā na paḌegā
is hijr ke pairāhan-e-sāda ko pahan kar
phir ham ko dobāra to sañvarnā na paḌegā
joḌe hī chale jaate haiñ ye log yuuñ ḳhud ko
lagtā hai ki ab in ko bikharnā na paḌegā
jis taur se duniyā se lage phirte ho 'sānī'
lagtā hai tumheñ ab kabhī marnā na paḌegā
lo panw hi ab toD liye hum ne to apne
kah do ki safar ab hamein karna na paDega
is lamha-e-maujud ko ji lene ki KHatir
kya 'arsa-e-mazi mein utarna na paDega
is hijr ke pairahan-e-sada ko pahan kar
phir hum ko dobara to sanwarna na paDega
joDe hi chale jate hain ye log yun KHud ko
lagta hai ki ab in ko bikharna na paDega
jis taur se duniya se lage phirte ho 'sani'
lagta hai tumhein ab kabhi marna na paDega
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 88)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.