log jo aage se aage bolte hain
log jo aage se aage bolte haiñ
ham unhīñ logoñ ke muñh se bolte haiñ
dekhnā ik roz pakḌe jā.eñge ham
kis qadar kangan tumhāre bolte haiñ
laakh sachchā aur nayā ho 'ishq apnā
jhūTh ham pahle hī vaale bolte haiñ
jis tarah vo boltā hī jā rahā hai
yuuñ to chup hone se pahle bolte haiñ
vāqa'ī meñ yaar hoñ jaise hamāre
yaar to kuchh log aise bolte haiñ
be-sabab ham baat karte Dar rahe the
aap to bachchoñ ke jaise bolte haiñ
dekhiye kab tak rahe ye josh ham meñ
dekhiye kab tak akele bolte haiñ
log jo aage se aage bolte hain
hum unhin logon ke munh se bolte hain
dekhna ek roz pakDe jaenge hum
kis qadar kangan tumhaare bolte hain
lakh sachcha aur naya ho 'ishq apna
jhuTh hum pahle hi wale bolte hain
jis tarah wo bolta hi ja raha hai
yun to chup hone se pahle bolte hain
waqa'i mein yar hon jaise hamare
yar to kuchh log aise bolte hain
be-sabab hum baat karte Dar rahe the
aap to bachchon ke jaise bolte hain
dekhiye kab tak rahe ye josh hum mein
dekhiye kab tak akele bolte hain
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 92)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.