log samajhte rah jaenge ek paheli ho jaegi
log samajhte rah jā.eñge ek pahelī ho jā.egī
bhiiḌ ko maiñ ne chhoḌ diyā to bhiiḌ akelī ho jā.egī
dīvānoñ kī sohbat meñ yuuñ aur to kuchh ho nā ho lekin
itnā tai hai nīñdeñ bairī raat sahelī ho jā.egī
'ishq meñ rusvā 'ishq meñ tanhā hone vaale jhūThe haiñ sab
kar ke dekho sub.h-e-banāras shām-e-barelī ho jā.egī
jis pal bhī dekhegī tujh ko us pal se maiñ Dartā huuñ
aañkh mirī ziddī bachche kī band hathelī ho jā.egī
log samajhte rah jaenge ek paheli ho jaegi
bhiD ko main ne chhoD diya to bhiD akeli ho jaegi
diwanon ki sohbat mein yun aur to kuchh ho na ho lekin
itna tai hai ninden bairi raat saheli ho jaegi
'ishq mein ruswa 'ishq mein tanha hone wale jhuThe hain sab
kar ke dekho subh-e-banaras sham-e-bareli ho jaegi
jis pal bhi dekhegi tujh ko us pal se main Darta hun
aankh meri ziddi bachche ki band hatheli ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.