aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

logo ab kaisa gila kaisi shikayat uski

Dr. Yasin Aatir

logo ab kaisa gila kaisi shikayat uski

Dr. Yasin Aatir

MORE BYDr. Yasin Aatir

    logo ab kaisā gila kaisī shikāyat us

    ishq ho jaa.e to jaa.ez hai imāmat us

    us ne mujh ko bhī banā Daalā kaḌe dil vaalā

    mujh ko rone nahīñ detī hai mohabbat us

    dekhne meñ to vo ik aam laḌkī hai magar

    ishq har roz baḌhā detā hai qīmat us

    jis tarah dekho lage jism mukammal us

    kaise poshāk chhupā saktī hai zīnat us

    bhūlnā chāhūñ to aa jaatī hai kuchh aur qarīb

    dil dīvār se lag jaatī hai sūrat us

    tum ko shāyad nazar aa.e mumāsil us

    is tarah chāñd meñ DhūñDo na shabāhat us

    us ko dekho to kabhī dhūp-bhare sāhil par

    jab zarā sāñvlī ho jaatī hai rangat us

    us chehra na kisī shaḳhs ko dhokā degā

    us chehra jo chhupātā nahīñ nafrat us

    jab bhī sajde meñ vo rakh detī hai peshānī ko

    mere kamre meñ mahak jaatī hai barkat us

    ghar bhī pakvān ḳhushbū meñ basā rahtā hai

    phailtī jaatī hai har samt bhī lazzat us

    ek mahshar hai dil-o-jāñ meñ utarnā us

    mujh meñ har roz barpā hai qayāmat us

    logo ab kaisa gila kaisi shikayat us ki

    ishq ho jae to jaez hai imamat us ki

    us ne mujh ko bhi bana Dala kaDe dil wala

    mujh ko rone nahin deti hai mohabbat us ki

    dekhne mein to wo ek aam si laDki hai magar

    ishq har roz baDha deta hai qimat us ki

    jis tarah dekho lage jism mukammal us ka

    kaise poshak chhupa sakti hai zinat us ki

    bhulna chahun to aa jati hai kuchh aur qarib

    dil ki diwar se lag jati hai surat us ki

    tum ko shayad hi nazar aae mumasil us ka

    is tarah chand mein DhunDo na shabahat us ki

    us ko dekho to kabhi dhup-bhare sahil par

    jab zara sanwli ho jati hai rangat us ki

    us ka chehra na kisi shaKHs ko dhoka dega

    us ka chehra jo chhupata nahin nafrat us ki

    jab bhi sajde mein wo rakh deti hai peshani ko

    mere kamre mein mahak jati hai barkat us ki

    ghar bhi pakwan ki KHushbu mein basa rahta hai

    phailti jati hai har samt bhi lazzat us ki

    ek mahshar hai dil-o-jaan mein utarna us ka

    mujh mein har roz hi barpa hai qayamat us ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now