Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe

Raoof Khair

lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe

Raoof Khair

MORE BYRaoof Khair

    lubhā rahī to hai duniyā chamak damak mujhe

    magar hayāt gavārā nahīñ dhanak mujhe

    hamesha apnī laḌā.ī maiñ aap laḌtā huuñ

    nahīñ rahī kabhī hājat kisī kumak mujhe

    bahut dinoñ se zamān o makān haa.il haiñ

    ki aas bhī na rahī ab tirī jhalak mujhe

    mire qalam jo zad meñ ye bahr o bar aate

    duhā.ī dene lage naan aur namak mujhe

    mirā gumān yaqīñ meñ badaltā rahtā hai

    samajhne vaale bhale samajh leñ shakkī mujhe

    chunāñche gardish-e-ayyām thak ke baiTh ga.ī

    maiñ saḳht-jān huuñ kyā pīstī ye chakkī mujhe

    isī liye to maiñ nimTā rahā huuñ kaam apne

    maiñ jāntā huuñ ki mohlat hai aaj tak mujhe

    adā kiyā usī sikke meñ be-jhijak maiñ ne

    huī jahāñ kahīñ mahsūs hitak mujhe

    ḳharāb-hāl ye be-'ḳhair' o be-adab ho kar

    bhaTak na jaa.e kahīñ fikr hai saḌak mujhe

    lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe

    magar hayat gawara nahin dhanak ki mujhe

    hamesha apni laDai main aap laDta hun

    nahin rahi kabhi hajat kisi kumak ki mujhe

    bahut dinon se zaman o makan hail hain

    ki aas bhi na rahi ab teri jhalak ki mujhe

    mere qalam ki jo zad mein ye bahr o bar aate

    duhai dene lage nan aur namak ki mujhe

    mera guman yaqin mein badalta rahta hai

    samajhne wale bhale hi samajh len shakki mujhe

    chunanche gardish-e-ayyam thak ke baiTh gai

    main saKHt-jaan hun kya pisti ye chakki mujhe

    isi liye to main nimTa raha hun kaam apne

    main jaanta hun ki mohlat hai aaj tak ki mujhe

    ada kiya usi sikke mein be-jhijak main ne

    hui jahan kahin mahsus bu hitak ki mujhe

    KHarab-haal ye be-'KHair' o be-adab ho kar

    bhaTak na jae kahin fikr hai saDak ki mujhe

    RECITATIONS

    Raoof Khair

    Raoof Khair,

    Raoof Khair

    lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe Raoof Khair

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now