Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein

Mahir Bilgrami

lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein

Mahir Bilgrami

MORE BYMahir Bilgrami

    lutf-e-hayāt-e-nau hai har ik inqalāb meñ

    haiñ asl zindagī ke maze pech-o-tāb meñ

    yuuñ to bahut bāteñ haiñ dil kitāb meñ

    lekin hai ġham tazkira har ek baab meñ

    lag jaa.eñ chaar chāñd abhī āftāb meñ

    tahlīl kar ke dekhe to koī gulāb meñ

    uf ye itaab pahle ḳhat ke javāb meñ

    dhokā mujhe zarūr huā intiḳhāb meñ

    phir kyuuñ na ba-ġharq ho jām-e-sharāb meñ

    hai āftāb raqs-kunāñ māhtāb meñ

    phir bhī magar nigāh kisī isī pe hai

    kyā rah gayā hai ab dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ

    āshiq ḳhushī se mar na kahīñ jaa.e sunte

    tasvīr-e-dil hai aa.ī udhar se javāb meñ

    is tarah gul shagufta hai shabnam se bhiig ke

    baiThā ho koī jaise koī nahā kar sharāb meñ

    tar-dāmanī meñ aa.e nazar ham pesh pesh

    a.amāl-e-zindagī ke hisāb-o-kitāb meñ

    nafrat bhī javāb mohabbat se dījiye

    likkhā yahī hai dil muqaddas kitāb meñ

    anmol dil gauhar-e-nāyāb dekhiye

    tohfa hai pesh ḳhidmat-e-ālī-janāb meñ

    jannat tazkira kabhī kū-e-sanam baat

    donoñ jahāñ lutf hai jām-e-sharāb meñ

    is fitna-zā ko kaun zamāne meñ muñh lagā.e

    bad-bū-e-shar hai aa rahī nām-e-sharāb meñ

    ahd-e-jumūd jīte-jī be-maut hai maut

    hai lutf zindagī to bas inqalāb meñ

    allāh kah ke yaad kareñ sanam kaheñ

    rahne deñ husn ko yūñhī lekin hijāb meñ

    zabt-e-ġham-e-vafā rahe har ghaḌī ḳhayāl

    pahlā sabaq yahī hai mohabbat ke baab meñ

    'māhir' ġham-e-habīb allāh bhalā kare

    aksar ġhazal huī hai isī pech-o-tāb meñ

    lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein

    hain asl zindagi ke maze pech-o-tab mein

    yun to bahut si baaten hain dil ki kitab mein

    lekin hai gham ka tazkira har ek bab mein

    lag jaen chaar chand abhi aaftab mein

    tahlil kar ke dekhe to koi gulab mein

    uf ye itab pahle hi KHat ke jawab mein

    dhoka mujhe zarur hua intiKHab mein

    phir kyun na tu ba-gharq ho jam-e-sharab mein

    hai aaftab raqs-kunan mahtab mein

    phir bhi magar nigah kisi ki isi pe hai

    kya rah gaya hai ab dil-e-KHana-KHarab mein

    aashiq KHushi se mar na kahin jae sunte hi

    taswir-e-dil hai aai udhar se jawab mein

    is tarah gul shagufta hai shabnam se bhig ke

    baiTha ho koi jaise koi naha kar sharab mein

    tar-damani mein aae nazar hum hi pesh pesh

    aamal-e-zindagi ke hisab-o-kitab mein

    nafrat ka bhi jawab mohabbat se dijiye

    likkha yahi hai dil ki muqaddas kitab mein

    anmol dil sa gauhar-e-nayab dekhiye

    tohfa hai pesh KHidmat-e-ali-janab mein

    jannat ka tazkira kabhi ku-e-sanam ki baat

    donon jahan ka lutf hai jam-e-sharab mein

    is fitna-za ko kaun zamane mein munh lagae

    bad-bu-e-shar hai aa rahi nam-e-sharab mein

    ahd-e-jumud jite-ji be-maut ki hai maut

    hai lutf zindagi ka to bas inqalab mein

    allah kah ke yaad karen ya sanam kahen

    rahne den husn ko yunhi lekin hijab mein

    zabt-e-gham-e-wafa ka rahe har ghaDi KHayal

    pahla sabaq yahi hai mohabbat ke bab mein

    'mahir' gham-e-habib ka allah bhala kare

    aksar ghazal hui hai isi pech-o-tab mein

    Source:

    Saamaan-e-Sar-Khushi (Pg. 115)

    • Author: Mahir Bilgrami
      • Edition: 1988
      • Publisher: Bilgrami Publication, Lakhnow
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now