Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf-e-mahfil aur na pine ka maza rah jaega

Naseer Ahmad Ansari

lutf-e-mahfil aur na pine ka maza rah jaega

Naseer Ahmad Ansari

MORE BYNaseer Ahmad Ansari

    lutf-e-mahfil aur na piine maza rah jā.egā

    na ho saaqī to maiḳhāne meñ kyā rah jā.egā

    aap agar yuuñ nazar ke jaam chhalkāte rahe

    maiñ to kyā phir kaun hai jo pārsā rah jā.egā

    jaane vaale chhoḌtā apnī yādoñ ke nuqūsh

    varna jiine ke liye kyā mashġhala rah jā.egā

    ye na thā ma.alūm duniyā mirī luT jā.egī

    jab ki manzil se zarā fāsla rah jā.egā

    ittifāqan jab kabhī vo rū-ba-rū aa jā.eñge

    kyā ḳhabar thī dil dil meñ mudda.ā rah jā.egā

    ye bhī to socho tamāshā dekhne vaalo zarā

    ham jo Dūbeñge to kyā sāhil bachā rah jā.egā

    duur ho jaa.e ḳhalish aisā kabhī mumkin nahīñ

    zaḳhm siine agar koī harā rah jā.egā

    ek din aisā bhī aa.egā na sochā thā kabhī

    lamha lamha ziist ban kar sazā rah jā.egā

    ḳhātir-e-ahbāb ye hastī fanā kar de 'nasīr'

    na hogā naam to baaqī tirā rah jā.egā

    lutf-e-mahfil aur na pine ka maza rah jaega

    tu na ho saqi to maiKHane mein kya rah jaega

    aap agar yun hi nazar ke jam chhalkate rahe

    main to kya phir kaun hai jo parsa rah jaega

    jaane wale chhoDta ja apni yaadon ke nuqush

    warna jine ke liye kya mashghala rah jaega

    ye na tha malum duniya hi meri luT jaegi

    jab ki manzil se zara sa fasla rah jaega

    ittifaqan jab kabhi wo ru-ba-ru aa jaenge

    kya KHabar thi dil ka dil mein muddaa rah jaega

    ye bhi to socho tamasha dekhne walo zara

    hum jo Dubenge to kya sahil bacha rah jaega

    dur ho jae KHalish aisa kabhi mumkin nahin

    zaKHm sine ka agar koi hara rah jaega

    ek din aisa bhi aaega na socha tha kabhi

    lamha lamha zist ka ban kar saza rah jaega

    KHatir-e-ahbab ye hasti fana kar de 'nasir'

    tu na hoga nam to baqi tera rah jaega

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now