masum se do dil kya dhaDke be-par ki uDai logon ne
mā'sūm se do dil kyā dhaḌke be-par kī uḌaa.ī logoñ ne
ḳhāmosh mohabbat bhaḌkā dī vo aag lagā.ī logoñ ne
kal shahr-e-nigārāñ meñ jab ham kuchh kho.e hue se phirte the
us kūcha-e-qātil kī hañs kar ḳhud raah batā.ī logoñ ne
phir dard uThā dil baiTh gayā phir aañkh bharī aañsū Dhalkā
afsos na jaanī is par bhī kuchh pīr-parā.ī logoñ ne
ham ne hī jalā kar dil apnā ik jashn-e-charāġhāñ kar Daalā
jab rasm-e-vafā kī mahfil meñ har sham' bujhā.ī logoñ ne
maqtal ko sajāyā qātil ne jamhūr ke ḳhūn-e-nāhaq se
zālim ke lahū kī surḳhī se ik bazm sajā.ī logoñ ne
anjān kī dil kī dhaḌkan meñ gumnām se naġhme guuñj uThe
ik dard ke nāzuk rishte kī jab baat chalā.ī logoñ ne
'jāved' ġhazal ke parde meñ jab taar diloñ ke chheḌ diye
har she'r pe sar dhunte hī rahe vo dhuum machā.ī logoñ ne
ma'sum se do dil kya dhaDke be-par ki uDai logon ne
KHamosh mohabbat bhaDka di wo aag lagai logon ne
kal shahr-e-nigaran mein jab hum kuchh khoe hue se phirte the
us kucha-e-qatil ki hans kar KHud rah batai logon ne
phir dard uTha dil baiTh gaya phir aankh bhari aansu Dhalka
afsos na jaani is par bhi kuchh pir-parai logon ne
hum ne hi jala kar dil apna ek jashn-e-charaghan kar Dala
jab rasm-e-wafa ki mahfil mein har sham' bujhai logon ne
maqtal ko sajaya qatil ne jamhur ke KHun-e-nahaq se
zalim ke lahu ki surKHi se ek bazm sajai logon ne
anjaan ki dil ki dhaDkan mein gumnam se naghme gunj uThe
ek dard ke nazuk rishte ki jab baat chalai logon ne
'jawed' ghazal ke parde mein jab tar dilon ke chheD diye
har she'r pe sar dhunte hi rahe wo dhum machai logon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.