mana abhi nishan-e-numud-e-sahar nahin
maanā abhī nishān-e-numūd-e-sahar nahīñ
maiñ tīrgī-e-shab kā magar nauhagar nahīñ
kahtā hai kaun husn-e-azal jalva-gar nahīñ
jalve to har taraf haiñ shu’ūr-e-nazar nahīñ
ehsās-o-fikr is liye ab haiñ bujhe bujhe
raushan sutūn-e-dār pe koī bhī sar nahīñ
is daur ke bashar kā muqaddar hai gumrahī
hai 'aql ḳhām-kār junūñ mo'tabar nahīñ
jiine kā ho shi'ār to ik lamha bhī bahut
hai muḳhtasar hayāt magar muḳhtasar nahīñ
jis ko bhī dekhiye vo hisār-e-anā meñ qaid
itnā baḌhī ḳhudī ki ḳhudā kī ḳhabar nahīñ
me'rāj-e-hosh ye hai ki apnī ḳhabar na ho
hai bā-ḳhabar vahī jise apnī ḳhabar nahīñ
kashkol-e-dil hai daulat-e-īmāñ se mālā-māl
shukr-e-ḳhudā hai paas mire sīm-o-zar nahīñ
tauqīr jo milī vo buzurgoñ kā faiz hai
vaise to apnī zaat meñ koī hunar nahīñ
mana abhi nishan-e-numud-e-sahar nahin
main tirgi-e-shab ka magar nauhagar nahin
kahta hai kaun husn-e-azal jalwa-gar nahin
jalwe to har taraf hain shu’ur-e-nazar nahin
ehsas-o-fikr is liye ab hain bujhe bujhe
raushan sutun-e-dar pe koi bhi sar nahin
is daur ke bashar ka muqaddar hai gumrahi
hai 'aql KHam-kar junun mo'tabar nahin
jine ka ho shi'ar to ek lamha bhi bahut
hai muKHtasar hayat magar muKHtasar nahin
jis ko bhi dekhiye wo hisar-e-ana mein qaid
itna baDhi KHudi ki KHuda ki KHabar nahin
me'raj-e-hosh ye hai ki apni KHabar na ho
hai ba-KHabar wahi jise apni KHabar nahin
kashkol-e-dil hai daulat-e-iman se mala-mal
shukr-e-KHuda hai pas mere sim-o-zar nahin
tauqir jo mili wo buzurgon ka faiz hai
waise to apni zat mein koi hunar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.