mana gul-o-gulzar pe ranai wahi hai
maanā gul-o-gulzār pe rā'nā.ī vahī hai
manzar to badal de ki tamāshā.ī vahī hai
ujḌā thā abhī kal hī tamannāoñ kā bāzār
aur aaj yahāñ zīnat-o-zebā.ī vahī hai
chūmā hai yahāñ maiñ ne har āvāz kā chehra
in gūñjtī galiyoñ se shanāsā.ī vahī hai
ḳhushbū kī tarah uḌ ke pahuñchtī hai ḳhabar bhī
har-chand nayā shahr hai rusvā.ī vahī hai
aglī sī mirī aañkh meñ bīnā.ī nahīñ vo
ai āb-e-tamāshā tirī gahrā.ī vahī hai
halchal na huī gaañv ke tālāb meñ ik din
Thahrā huā paanī hai vahī kaa.ī vahī hai
daryāft huiiñ dahr meñ kyā kyā na zamīneñ
is dil ko magar dā'vā-e-yaktā.ī vahī hai
is dhuup meñ ik soch kā saaya rahā sar par
uTThī hai jo andar se ghaTā chhā.ī vahī hai
kahtā huuñ 'zafar' she'r to sahtā huuñ badan par
tanhā.ī vahī qāfiya-paimā.ī vahī hai
mana gul-o-gulzar pe ra'nai wahi hai
manzar to badal de ki tamashai wahi hai
ujDa tha abhi kal hi tamannaon ka bazar
aur aaj yahan zinat-o-zebai wahi hai
chuma hai yahan main ne har aawaz ka chehra
in gunjti galiyon se shanasai wahi hai
KHushbu ki tarah uD ke pahunchti hai KHabar bhi
har-chand naya shahr hai ruswai wahi hai
agli si meri aankh mein binai nahin wo
ai aab-e-tamasha teri gahrai wahi hai
halchal na hui ganw ke talab mein ek din
Thahra hua pani hai wahi kai wahi hai
daryaft huin dahr mein kya kya na zaminen
is dil ko magar da'wa-e-yaktai wahi hai
is dhup mein ek soch ka saya raha sar par
uTThi hai jo andar se ghaTa chhai wahi hai
kahta hun 'zafar' she'r to sahta hun badan par
tanhai wahi qafiya-paimai wahi hai
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 31)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.