mana jaan-kah bahut gham ka nihan rakhna hai
maanā jāñ-kāh bahut ġham kā nihāñ rakhnā hai
ġham kā iz.hār to sho'le pe zabāñ rakhnā hai
bujhte sūraj ko harārat kī zarūrat hogī
is liye ḳhud ko abhī sho'la-ba-jāñ rakhnā hai
bāb-e-insāf isī tarh se shāyad khul jaa.e
apne har saañs ko sar-garm-e-fuġhāñ rakhnā hai
khulī āñkhoñ se to hai dekhnī duniyā lekin
apnī jānib bhī to chashm-e-nigarāñ rakhnā hai
shorish-e-ġham se na ho jaa.e tamannā majrūh
qarya-e-jāñ meñ mujhe amn-o-amāñ rakhnā hai
faisla ab ye makīnoñ hī ko karnā hogā
ghar ko ghar rakhnā hai yā ghar ko makāñ rakhnā hai
is qadar kū-e-shab-o-roz se nā-vāqif huuñ
bār-e-hastī nahīñ mā'lūm kahāñ rakhnā hai
lahja badle to badal jaatī hai fitrat 'tābish'
ham ko apnā yahī andāz-e-bayāñ rakhnā hai
mana jaan-kah bahut gham ka nihan rakhna hai
gham ka izhaar to sho'le pe zaban rakhna hai
bujhte suraj ko hararat ki zarurat hogi
is liye KHud ko abhi sho'la-ba-jaan rakhna hai
bab-e-insaf isi tarh se shayad khul jae
apne har sans ko sar-garm-e-fughan rakhna hai
khuli aankhon se to hai dekhni duniya lekin
apni jaanib bhi to chashm-e-nigaran rakhna hai
shorish-e-gham se na ho jae tamanna majruh
qarya-e-jaan mein mujhe amn-o-aman rakhna hai
faisla ab ye makinon hi ko karna hoga
ghar ko ghar rakhna hai ya ghar ko makan rakhna hai
is qadar ku-e-shab-o-roz se na-waqif hun
bar-e-hasti nahin ma'lum kahan rakhna hai
lahja badle to badal jati hai fitrat 'tabish'
hum ko apna yahi andaz-e-bayan rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.