mana ki wo maujon ki tarah sina-sipar tha
maanā ki vo maujoñ kī tarah sīna-sipar thā
lekin use tūfāñ kā nahīñ maut kā Dar thā
shīshe kā badan aur pahāḌoñ kā safar thā
maiñ aa gayā vāpas ye du'āoñ kā asar thā
gahrā mirī parvāz meñ haa.il to huā hai
lekin mujhe sūraj kī tarah zauq-e-safar thā
āshufta-mizājī se ye ummīd kahāñ hai
patthar ke ta'āqub meñ koī dast-e-hunar thā
arbāb-e-nazar bhī mujhe pahchānte kyūñkar
maiñ ātish-e-ḳhāmosh thā patthar meñ guhar thā
jo haath uThā thā kabhī mazlūm ke haq meñ
dekhā to usī haath meñ mazlūm kā sar thā
hairat hai kamāñ us kī magar tiir parā.e
hālāñki vo arjun kī tarah ahl-e-hunar thā
TuuTe hue taare kī nahīñ koī bhī manzil
maiñ tujh se judā ho ke idhar thā na udhar thā
kohsār se Takrā ke pareshāñ thiiñ havā.eñ
bastī ke añdhere meñ charāġhoñ kā bhañvar thā
ham bhī the 'mushīr' ek pujāran ke pujārī
mandir bhī kisī vaqt hamāre liye ghar thā
mana ki wo maujon ki tarah sina-sipar tha
lekin use tufan ka nahin maut ka Dar tha
shishe ka badan aur pahaDon ka safar tha
main aa gaya wapas ye du'aon ka asar tha
gahra meri parwaz mein hail to hua hai
lekin mujhe suraj ki tarah zauq-e-safar tha
aashufta-mizaji se ye ummid kahan hai
patthar ke ta'aqub mein koi dast-e-hunar tha
arbab-e-nazar bhi mujhe pahchante kyunkar
main aatish-e-KHamosh tha patthar mein guhar tha
jo hath uTha tha kabhi mazlum ke haq mein
dekha to usi hath mein mazlum ka sar tha
hairat hai kaman us ki magar tir parae
haalanki wo arjun ki tarah ahl-e-hunar tha
TuTe hue tare ki nahin koi bhi manzil
main tujh se juda ho ke idhar tha na udhar tha
kohsar se Takra ke pareshan thin hawaen
basti ke andhere mein charaghon ka bhanwar tha
hum bhi the 'mushir' ek pujaran ke pujari
mandir bhi kisi waqt hamare liye ghar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.