mana koi charagh ya mashal nahin hun main
maanā koī charāġh yā mash'al nahīñ huuñ maiñ
yuuñ bhī nahīñ ki tīrgī kā hal nahīñ huuñ maiñ
kartā hai mujh meñ qatl mujhe koī saañs saañs
mar mar ke jī rahā huuñ musalsal nahīñ huuñ maiñ
hastī ne ik fareb meñ rakkhā hai mustaqil
sab ehtimām kal ke liye kal nahīñ huuñ maiñ
sadiyoñ se ho rahā hai mirā irtiqā magar
apnī nazar meñ ab bhī mukammal nahīñ huuñ maiñ
zinda huuñ ek lamha-e-maujūd ke liye
is pal ke baa'd aur koī pal nahīñ huuñ maiñ
mujh meñ huī haiñ ḳhuun tamannā.eñ ḳhud mirī
terī hī ḳhvāhishāt kā maqtal nahīñ huuñ maiñ
sahrā meñ saath kyoñ mujhe le kar chalā hai tū
paanī bharā huā koī bādal nahīñ huuñ maiñ
'āsim' ye aur baat koī dekhtā nahīñ
lekin kisī kī aañkh se ojhal nahīñ huuñ maiñ
mana koi charagh ya mash'al nahin hun main
yun bhi nahin ki tirgi ka hal nahin hun main
karta hai mujh mein qatl mujhe koi sans sans
mar mar ke ji raha hun musalsal nahin hun main
hasti ne ek fareb mein rakkha hai mustaqil
sab ehtimam kal ke liye kal nahin hun main
sadiyon se ho raha hai mera irtiqa magar
apni nazar mein ab bhi mukammal nahin hun main
zinda hun ek lamha-e-maujud ke liye
is pal ke ba'd aur koi pal nahin hun main
mujh mein hui hain KHun tamannaen KHud meri
teri hi KHwahishat ka maqtal nahin hun main
sahra mein sath kyon mujhe le kar chala hai tu
pani bhara hua koi baadal nahin hun main
'asim' ye aur baat koi dekhta nahin
lekin kisi ki aankh se ojhal nahin hun main
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 49)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.