mand paDti ja rahi is raushni ka kya karun
maañd paḌtī jā rahī is raushnī kā kyā karūñ
sar pe ab aane lagī is tīrgī kā kyā karūñ
jis meñ tere pyaar ke vā'doñ kī TūTan hai chhupī
dil ko hai bhātī bahut vo shā'irī kā kyā karūñ
yuuñ mujhe tanhā.ī meñ rahne kī 'ādat paḌ ga.ī
jis se man miltā nahīñ us aadmī kā kyā karūñ
bevafā vo hī huā hai jis se chāhī thī vafā
prem kī is dil meñ bajtī bāñsurī kā kyā karūñ
raushnī hī raushnī hai har taraf bikhrī huī
par jo mere dil meñ hai us tīrgī kā kyā karūñ
jāntī huuñ maiñ 'kiran' dil meñ rakhe haiñ khoT vo
jo jalā de dil mirā maiñ us hañsī kā kyā karūñ
mand paDti ja rahi is raushni ka kya karun
sar pe ab aane lagi is tirgi ka kya karun
jis mein tere pyar ke wa'don ki TuTan hai chhupi
dil ko hai bhati bahut wo sha'iri ka kya karun
yun mujhe tanhai mein rahne ki 'adat paD gai
jis se man milta nahin us aadmi ka kya karun
bewafa wo hi hua hai jis se chahi thi wafa
prem ki is dil mein bajti bansuri ka kya karun
raushni hi raushni hai har taraf bikhri hui
par jo mere dil mein hai us tirgi ka kya karun
jaanti hun main 'kiran' dil mein rakhe hain khoT wo
jo jala de dil mera main us hansi ka kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.