Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    ma.anī-tarāz-e-ishq har ik bāda-ḳhvār thā

    is mai-kade meñ mast jo thā hoshiyār thā

    tamhīd thī junūñ garebāñ huā jo chaak

    ya.anī ye ḳhair-maqdam-e-fasl-e-bahār thā

    banñe lage haiñ daaġh sitāre ḳhushā-nasīb

    tārīk āsmān-e-shab-e-intizār thā

    the zindagī ke saath mohabbat ke kārobār

    āḳhir kisī ke dar pe hamārā mazār thā

    marne pe bhī kaTā na azāb-e-ġham-e-firāq

    kunj-e-lahad ḳhulāsa-e-shab-hā-e-tār thā

    āġhāz-e-ishq meñ mujhe chup lag ga.ī

    ik baat bhī na ki nafas rāzdār thā

    kyā lutf de gayā vo fareb-e-vafā daur

    goyā kisī ke dil pe hameñ e'tibār thā

    duniyā se rah-ravāñ-e-mohabbat guzar ga.e

    is kārvāñ ālam-e-hastī ġhubār thā

    chhuT kar qafas se maiñ na gayā sū-e-bostāñ

    āḳhir fareb-ḳhurda-e-fasl-e-bahār thā

    ik āh-e-garm ham ne bharī thī shab-e-firāq

    jal kar sahar ko ḳhaak dil-e-be-qarār thā

    fursat milī na ham ko tamāshā-e-dahr

    har zarra husn-e-yār ā.īna-dār thā

    ik laḳht-e-dil bachā thā magar vo bhī ai 'nazar'

    āḳhir ko nazr-e-dīda-e-ḳhūñ-nāba-yār thā

    mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

    is mai-kade mein mast jo tha hoshiyar tha

    tamhid thi junun ki gareban hua jo chaak

    yani ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar tha

    banne lage hain dagh sitare KHusha-nasib

    tarik aasman-e-shab-e-intizar tha

    the zindagi ke sath mohabbat ke karobar

    aaKHir kisi ke dar pe hamara mazar tha

    marne pe bhi kaTa na azab-e-gham-e-firaq

    kunj-e-lahad KHulasa-e-shab-ha-e-tar tha

    aaghaz-e-ishq hi mein mujhe chup si lag gai

    ek baat bhi na ki ki nafas raazdar tha

    kya lutf de gaya wo fareb-e-wafa ka daur

    goya kisi ke dil pe hamein e'tibar tha

    duniya se rah-rawan-e-mohabbat guzar gae

    is karwan ka aalam-e-hasti ghubar tha

    chhuT kar qafas se main na gaya su-e-bostan

    aaKHir fareb-KHurda-e-fasl-e-bahaar tha

    ek aah-e-garm hum ne bhari thi shab-e-firaq

    jal kar sahar ko KHak dil-e-be-qarar tha

    fursat mili na hum ko tamasha-e-dahr ki

    har zarra husn-e-yar ka aaina-dar tha

    ek laKHt-e-dil bacha tha magar wo bhi ai 'nazar'

    aaKHir ko nazr-e-dida-e-KHun-naba-yar tha

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. ebook-23 page-1)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now