manta hun badal raha hun main
māntā huuñ badal rahā huuñ maiñ
tere sāñche meñ Dhal rahā huuñ maiñ
ḳhvāb sā kyā hai jis ke pīchhe huuñ
niiñd meñ jaise chal rahā huuñ maiñ
vaqt chhū kar chalā gayā mujh ko
aur ab haath mal rahā huuñ maiñ
ik na.ī zindagī kī chāhat hai
ḳhud se bāhar nikal rahā huuñ maiñ
bārhā kyoñ gumān hotā hai
tere dil kā ḳhalal rahā huuñ maiñ
zindagī raah par nahīñ aatī
laakh chāleñ badal rahā huuñ maiñ
manta hun badal raha hun main
tere sanche mein Dhal raha hun main
KHwab sa kya hai jis ke pichhe hun
nind mein jaise chal raha hun main
waqt chhu kar chala gaya mujh ko
aur ab hath mal raha hun main
ek nai zindagi ki chahat hai
KHud se bahar nikal raha hun main
barha kyon guman hota hai
tere dil ka KHalal raha hun main
zindagi rah par nahin aati
lakh chaalen badal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.