Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mathe pe paDi zulf-e-girah-gir hila di

R P Shokh

mathe pe paDi zulf-e-girah-gir hila di

R P Shokh

MORE BYR P Shokh

    māthe pe paḌī zulf-e-girah-gīr hilā

    kyuuñ tum ne dil-e-ḳhufta zanjīr hilā

    vaise to mire ishq har naqsh hasīñ thā

    jab dard ne khīñchī to ye tasvīr hilā

    ḳhat bhej diyā kaaT ke paimān-e-mulāqāt

    ye kaun hai jis ne tirī tahrīr hilā

    yuuñ na samajh ahl-e-mohabbat ke junūñ ko

    kam-baḳht ne jab chāhā hai taqdīr hilā

    vo zalzala go roz hilā detā thā dil ko

    is baar magar saarī ta.amīr hilā

    mathe pe paDi zulf-e-girah-gir hila di

    kyun tum ne dil-e-KHufta ki zanjir hila di

    waise to mere ishq ka har naqsh hasin tha

    jab dard ne khinchi to ye taswir hila di

    KHat bhej diya kaT ke paiman-e-mulaqat

    ye kaun hai jis ne teri tahrir hila di

    yun hi na samajh ahl-e-mohabbat ke junun ko

    kam-baKHt ne jab chaha hai taqdir hila di

    wo zalzala go roz hila deta tha dil ko

    is bar magar sari hi tamir hila di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now