Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mathe pe shikan la na in aankhon mein ghazab likh

Imran Azeem

mathe pe shikan la na in aankhon mein ghazab likh

Imran Azeem

MORE BYImran Azeem

    māthe pe shikan na in āñkhoñ meñ ġhazab likh

    ai dost ḳhafā kyoñ hai mujhe is sabab likh

    gūñgī haiñ fazā.eñ to shajar bhī hue bahre

    mat shāḳh-e-tamannā pe koī arz-e-talab likh

    ik us mohabbat ke bulāve ko bhī sun le

    saf.ha-e-ruḳhsār pe kuchh garmi-e-lab likh

    arzī pe tujhe varna taraqqī na milegī

    auqāt batā apnī koī nām-o-nasab likh

    mausam tarah tujh ko badalnā hai 'azīm' ab

    ḳhāmoshī-e-guftār kahīñ shor-o-shaġhab likh

    mathe pe shikan la na in aankhon mein ghazab likh

    ai dost KHafa kyon hai mujhe is ka sabab likh

    gungi hain fazaen to shajar bhi hue bahre

    mat shaKH-e-tamanna pe koi arz-e-talab likh

    ek us ki mohabbat ke bulawe ko bhi sun le

    ja safha-e-ruKHsar pe kuchh garmi-e-lab likh

    arzi pe tujhe warna taraqqi na milegi

    auqat bata apni koi nam-o-nasab likh

    mausam ki tarah tujh ko badalna hai 'azim' ab

    KHamoshi-e-guftar kahin shor-o-shaghab likh

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now