madawa-e-alam ho jaega
madāvā-e-ālām ho jā.egā
to kyā dil tirā kaam ho jā.egā
agar maiñ yuñhī ḳhaak uḌātā rahā
ye rasta mire naam ho jā.egā
yahī zindagī hai to kyā sochnā
jo honā hai anjām ho jā.egā
salāmat rahe terā shauq-e-safar
musāfir tirā kaam ho jā.egā
agar uTh gayā dil to sannāhaTā
libās-e-dar-o-bām ho jā.egā
kise ye ḳhabar thī ki 'kāshif-husain'
ye qissa tirā 'aam ho jā.egā
madawa-e-alam ho jaega
to kya dil tera kaam ho jaega
agar main yunhi KHak uData raha
ye rasta mere nam ho jaega
yahi zindagi hai to kya sochna
jo hona hai anjam ho jaega
salamat rahe tera shauq-e-safar
musafir tera kaam ho jaega
agar uTh gaya dil to sannahaTa
libas-e-dar-o-baam ho jaega
kise ye KHabar thi ki 'kashif-husain'
ye qissa tera 'am ho jaega
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 42)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.