magar isse aage jo tarik sahra hai wo kaun sa hai
magar isse aage jo tārīk sahrā hai vo kaun sā hai
abhī to ye manzar hamārī mohabbat se dahkā huā hai
bahut der tak is ghanere shajar ne pareshān rakkhā
kisī shāḳh par aag hai aur kahīñ abr kā zā.iqa hai
mujhe apnā sayyāra tabdīl karne kī ḳhvāhish hī kyoñ ho
ki ab bhī zamīñ par baḌā husn hai aur gambhīrtā hai
havā-e-ḳhizāñ meñ daraḳhtoñ kī dil-jūī lāzim hai 'sarvat'
gurez aur gardish kā din hai magar mujh ko ruknā paḌā hai
magar isse aage jo tarik sahra hai wo kaun sa hai
abhi to ye manzar hamari mohabbat se dahka hua hai
bahut der tak is ghanere shajar ne pareshan rakkha
kisi shaKH par aag hai aur kahin abr ka zaiqa hai
mujhe apna sayyara tabdil karne ki KHwahish hi kyon ho
ki ab bhi zamin par baDa husn hai aur gambhirta hai
hawa-e-KHizan mein daraKHton ki dil-jui lazim hai 'sarwat'
gurez aur gardish ka din hai magar mujh ko rukna paDa hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 34)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.