Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho

Munawwar Rana

mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho

Munawwar Rana

MORE BYMunawwar Rana

    mahfil meñ aaj marsiya-ḳhvānī kyuuñ na ho

    āñkhoñ se bahne dījiye paanī kyuuñ na ho

    nashshe ehtimām se rishta nahīñ koī

    paiġhām us aa.e zabānī kyuuñ na ho

    aise ye ġham raat guzarnā muhāl hai

    kuchh bhī sunā mujhe vo kahānī kyuuñ na ho

    koī bhī saath detā nahīñ umr-bhar yahāñ

    kuchh din rahegī saath javānī kyuuñ na ho

    is tishnagī qaid se jaise bhī ho nikāl

    piine ko kuchh bhī chāhiye paanī kyuuñ na ho

    duniyā bhī jaise taash ke pattoñ khel hai

    joker ke saath rahtī hai raanī kyuuñ na ho

    tasvīr us chāhiye har haal meñ mujhe

    pāgal ho sar-phirī ho divānī kyuuñ na ho

    sonā to yaar sonā hai chāhe jahāñ rahe

    biivī hai phir bhī biivī purānī kyuuñ na ho

    ab apne ghar meñ rahne na deñge kisī ko ham

    dil se nikāl deñge nishānī kyuuñ na ho

    mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho

    aankhon se bahne dijiye pani hi kyun na ho

    nashshe ka ehtimam se rishta nahin koi

    paigham us ka aae zabani hi kyun na ho

    aise ye gham ki raat guzarna muhaal hai

    kuchh bhi suna mujhe wo kahani hi kyun na ho

    koi bhi sath deta nahin umr-bhar yahan

    kuchh din rahegi sath jawani hi kyun na ho

    is tishnagi ki qaid se jaise bhi ho nikal

    pine ko kuchh bhi chahiye pani hi kyun na ho

    duniya bhi jaise tash ke patton ka khel hai

    joker ke sath rahti hai rani hi kyun na ho

    taswir us ki chahiye har haal mein mujhe

    pagal ho sar-phiri ho diwani hi kyun na ho

    sona to yar sona hai chahe jahan rahe

    biwi hai phir bhi biwi purani hi kyun na ho

    ab apne ghar mein rahne na denge kisi ko hum

    dil se nikal denge nishani hi kyun na ho

    Source:

    Shadaba (Pg. 15)

    • Author: Munavar Rana
      • Edition: 2012
      • Publisher: Maktaba Al-faheem
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now