Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahke hue gulon ka chaman bolne laga

Asrar Akbarabadi

mahke hue gulon ka chaman bolne laga

Asrar Akbarabadi

MORE BYAsrar Akbarabadi

    mahke hue guloñ chaman bolne lagā

    vo chup huā to us badan bolne lagā

    āñchal hai kahkashāñ to vo ḳhud bhī hai chāñd

    bāhoñ meñ merī aa ke gagan bolne lagā

    tābāniyoñ meñ us hai mauj-e-vafā guuñj

    din chup huā to dil ratan bolne lagā

    bolī ga.ī thī dard ke mausam meñ jo kabhī

    phir vo zabān apnā vatan bolne lagā

    ḳhāmosh rah ke us ne guzārī thī zindagī

    vo shaḳhs jab marā to kafan bolne lagā

    dil haveliyoñ ke hue aa.ine ḳhamosh

    shahr-e-anā meñ sañg-e-kuhan bolne lagā

    aahan ke shor-o-shar meñ hai 'asrār' vo asar

    lahje meñ dhun ke aaj fan bolne lagā

    mahke hue gulon ka chaman bolne laga

    wo chup hua to us ka badan bolne laga

    aanchal hai kahkashan to wo KHud bhi hai chand sa

    bahon mein meri aa ke gagan bolne laga

    tabaniyon mein us ki hai mauj-e-wafa ki gunj

    din chup hua to dil ka ratan bolne laga

    boli gai thi dard ke mausam mein jo kabhi

    phir wo zaban apna watan bolne laga

    KHamosh rah ke us ne guzari thi zindagi

    wo shaKHs jab mara to kafan bolne laga

    dil ki haweliyon ke hue aaine KHamosh

    shahr-e-ana mein sang-e-kuhan bolne laga

    aahan ke shor-o-shar mein hai 'asrar' wo asar

    lahje mein dhun ke aaj ka fan bolne laga

    Source:

    Silsile Sadaon Ke (Pg. 64)

    • Author: Asrar Akbarabadi
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now