mahsus kaun karta hai ahl-e-wafa ka dard
mahsūs kaun kartā hai ahl-e-vafā kā dard
ahl-e-vafā kā dard hai ye to balā kā dard
dukh dard meñ sharīk sabhī ke rahā huuñ maiñ
ġhairoñ kā dard ho ki kisī āshnā kā dard
jaatā nahīñ hai dil ko kahīñ mere chhoḌ kar
ye dard-e-dil to ban gayā jaise sadā kā dard
tūfāñ se jis ne laḌte hue apnī jaan dī
koī samajh sakā na usī nāḳhudā kā dard
jis par nisār maiñ ne kiye apne jān-o-dil
de kar gayā hai mujh ko vo tark-e-vafā kā dard
jo zindagī ke zulm-o-sitam hañs ke sah gayā
kuchh bhī nahīñ hai us ke liye to qazā kā dard
jab bhī maiñ yaad kartā huuñ maazī ko ai 'qamar'
uThtā hai mere siine meñ us kī jafā kā dard
mahsus kaun karta hai ahl-e-wafa ka dard
ahl-e-wafa ka dard hai ye to bala ka dard
dukh dard mein sharik sabhi ke raha hun main
ghairon ka dard ho ki kisi aashna ka dard
jata nahin hai dil ko kahin mere chhoD kar
ye dard-e-dil to ban gaya jaise sada ka dard
tufan se jis ne laDte hue apni jaan di
koi samajh saka na usi naKHuda ka dard
jis par nisar main ne kiye apne jaan-o-dil
de kar gaya hai mujh ko wo tark-e-wafa ka dard
jo zindagi ke zulm-o-sitam hans ke sah gaya
kuchh bhi nahin hai us ke liye to qaza ka dard
jab bhi main yaad karta hun mazi ko ai 'qamar'
uThta hai mere sine mein us ki jafa ka dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.