Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahw-e-yas logon ki baat kyon nahin karte

Shahnawaz Ahmad

mahw-e-yas logon ki baat kyon nahin karte

Shahnawaz Ahmad

MORE BYShahnawaz Ahmad

    mahv-e-yās logoñ baat kyoñ nahīñ karte

    tum udaas logoñ baat kyoñ nahīñ karte

    baat karte rahte ho ranj-o-ġham har lamha

    ġham-shanās logoñ baat kyoñ nahīñ karte

    aadmī ko raġhbat hai aadmī bātoñ se

    ās-pās logoñ baat kyoñ nahīñ karte

    har koī hai shaidā.ī māl-o-zar devī

    be-asās logoñ baat kyoñ nahīñ karte

    hai 'navāz' bātil ḳhvāb-gāh ye duniyā

    haq-shanās logoñ baat kyoñ nahīñ karte

    mahw-e-yas logon ki baat kyon nahin karte

    tum udas logon ki baat kyon nahin karte

    baat karte rahte ho ranj-o-gham ki har lamha

    gham-shanas logon ki baat kyon nahin karte

    aadmi ko raghbat hai aadmi ki baaton se

    aas-pas logon ki baat kyon nahin karte

    har koi hai shaidai mal-o-zar ki dewi ka

    be-asas logon ki baat kyon nahin karte

    hai 'nawaz' baatil ki KHwab-gah ye duniya

    haq-shanas logon ki baat kyon nahin karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now