aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne aapko pahchan hi nahin paya

Abdurrahman momin

main apne aapko pahchan hi nahin paya

Abdurrahman momin

MORE BYAbdurrahman momin

    maiñ apne aap ko pahchān nahīñ paayā

    isī liye maiñ tujhe jaan nahīñ paayā

    ye dekh kar vo pareshāñ hai terī mahfil meñ

    kisī ko us ne pareshān nahīñ paayā

    abhī se tujh ko paḌī hai visāl mirī jaañ

    abhī to hijr ne unvān nahīñ paayā

    vo ek lamha mirī zindagī pe taarī hai

    jo ek lamha abhī aan nahīñ paayā

    ḳhushī ḳhushī tirī duniyā ko chhoḌ aa.e ham

    ḳhushī jab koī sāmān nahīñ paayā

    javāz mil na sakā mujh ko apne hone

    so apne aap ko insān nahīñ paayā

    ajiib hijr kiyā ham ne hijr meñ 'momin'

    visāl-e-yār armān nahīñ paayā

    main apne aap ko pahchan hi nahin paya

    isi liye main tujhe jaan hi nahin paya

    ye dekh kar wo pareshan hai teri mahfil mein

    kisi ko us ne pareshan hi nahin paya

    abhi se tujh ko paDi hai visal ki meri jaan

    abhi to hijr ne unwan hi nahin paya

    wo ek lamha meri zindagi pe tari hai

    jo ek lamha abhi aan hi nahin paya

    KHushi KHushi teri duniya ko chhoD aae hum

    KHushi ka jab koi saman hi nahin paya

    jawaz mil na saka mujh ko apne hone ka

    so apne aap ko insan hi nahin paya

    ajib hijr kiya hum ne hijr mein 'momin'

    visal-e-yar ka arman hi nahin paya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now