main apne sath hi dar-dar phirun to kya hoga
main apne sath hi dar-dar phirun to kya hoga
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
maiñ apne saath hī dar-dar phirūñ to kyā hogā
aur is ke baa'd na aayā sukūñ to kyā hogā
maiñ niiñd apnī dubārā bunūñ to kyā hogā
phir us pe ḳhvāb ke kankar chunūñ to kyā hogā
tū āñsuoñ ko tirā dukh bayān karne de
maiñ tere dukh pe ġhazal keh bhī duuñ to kyā hogā
jab aañkh hī ko na paḌhne kā hausla ho mujhe
maiñ tere siine kī dhaḌkan sunūñ to kyā hogā
tire akele ke jalne se bujh gayā sab kuchh
maiñ tere jalne ke bāham jalūñ to kyā hogā
maiñ chāhtā huuñ samundar se ho judā sahrā
maiñ terī aañkh kā aañsū banūñ to kyā hogā
is āsmāñ pe bhī haiñ āsmān aur ka.ī
maiñ koī jhūTh bhī tujh se kahūñ to kyā hogā
main apne sath hi dar-dar phirun to kya hoga
aur is ke ba'd na aaya sukun to kya hoga
main nind apni dubara bunun to kya hoga
phir us pe KHwab ke kankar chunun to kya hoga
tu aansuon ko tera dukh bayan karne de
main tere dukh pe ghazal keh bhi dun to kya hoga
jab aankh hi ko na paDhne ka hausla ho mujhe
main tere sine ki dhaDkan sunun to kya hoga
tere akele ke jalne se bujh gaya sab kuchh
main tere jalne ke baham jalun to kya hoga
main chahta hun samundar se ho juda sahra
main teri aankh ka aansu banun to kya hoga
is aasman pe bhi hain aasman aur kai
main koi jhuTh bhi tujh se kahun to kya hoga
- Book : Khaamushi Raasta Nikaalegi (Pg. 44)
- Author : Dheerendra Singh Faiyaz
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.