main apni KHak se pahle diya banata hun
maiñ apnī ḳhaak se pahle diyā banātā huuñ
aur us ke baa'd koī rāsta banātā huuñ
shu'ā'eñ kaat ke TuuTe hue sitāre kī
usī ke taar se din kī qabā banātā huuñ
ye kār-e-saḳht bhī mere sipurd honā thā
maiñ barf-zār meñ ātish-kada banātā huuñ
sajā ke apnī jabīñ kā lahū hathelī par
usī kī aab se ik aa.ina banātā huuñ
maiñ ek tā.ir-e-nā-vāqif-e-ḳhatar kī tarah
havā kī zad pe nayā ghoñsla banātā huuñ
maiñ apne halqa-e-zanjīr kī vasātat se
sukūt-e-mahbas-e-jāñ meñ sadā banātā huuñ
ye shahr-e-jabr tirā naqsh-e-pā sahī lekin
maiñ ek naqsh-e-qadam dūsrā banātā huuñ
kisī fasīl pe likhtā huuñ ḳhvāhisheñ dar kī
kisī fasīl pe dast-e-du'ā banātā huuñ
kanār-e-āb jo 'at.har' ḳhiyām jalte haiñ
maiñ un kī raakh se dariyā nayā banātā huuñ
main apni KHak se pahle diya banata hun
aur us ke ba'd koi rasta banata hun
shu'a'en kat ke TuTe hue sitare ki
usi ke tar se din ki qaba banata hun
ye kar-e-saKHt bhi mere sipurd hona tha
main barf-zar mein aatish-kada banata hun
saja ke apni jabin ka lahu hatheli par
usi ki aab se ek aaina banata hun
main ek tair-e-na-waqif-e-KHatar ki tarah
hawa ki zad pe naya ghonsla banata hun
main apne halqa-e-zanjir ki wasatat se
sukut-e-mahbas-e-jaan mein sada banata hun
ye shahr-e-jabr tera naqsh-e-pa sahi lekin
main ek naqsh-e-qadam dusra banata hun
kisi fasil pe likhta hun KHwahishen dar ki
kisi fasil pe dast-e-du'a banata hun
kanar-e-ab jo 'athar' KHiyam jalte hain
main un ki rakh se dariya naya banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.