Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab

Urooj Qadri

main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab

Urooj Qadri

MORE BYUrooj Qadri

    maiñ batā.ūñ ishq kyā hai ek paiham iztirāb

    dhīmī dhīmī aañch kahiye musalsal iltihāb

    raat vo aa.e the chehre se naqāb ulTe hue

    maiñ to hairāñ thā nikal aayā kidhar se āftāb

    dil pe un ke rū-e-raushan paḌā hai jab se aks

    dil nahīñ hai balki siine meñ hai raushan māhtāb

    un ke dīvānoñ istiqbāl hai dār-o-rasan

    khiñch gayā jo daar par un ke liye vo kāmyāb

    kyā mirī hamd-o-sanā aur kyā mirā shukr-o-sipās

    un ke ehsāñ be-shumār aur un ne.amat be-hisāb

    raat pichhlā pahar thā aur aañsū jhaḌī

    merā dil thā shāyad un bārgah meñ bāryāb

    ishq duniyā meñ aise hādsoñ se kyā mafar

    aayā qāsid janāza mere naame javāb

    ye mahal merī tamannāoñ ai ‘ahmad-urūj'

    jaise bachchoñ gharauñdā jaise dīvāne ḳhvāb

    main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab

    dhimi dhimi aanch kahiye ya musalsal iltihab

    raat wo aae the chehre se naqab ulTe hue

    main to hairan tha nikal aaya kidhar se aaftab

    dil pe un ke ru-e-raushan ka paDa hai jab se aks

    dil nahin hai balki sine mein hai raushan mahtab

    un ke diwanon ka istiqbaal hai dar-o-rasan

    khinch gaya jo dar par un ke liye wo kaamyab

    kya meri hamd-o-sana aur kya mera shukr-o-sipas

    un ke ehsan be-shumar aur un ki neamat be-hisab

    raat ka pichhla pahar tha aur aansu ki jhaDi

    mera dil tha shayad un ki bargah mein baryab

    ishq ki duniya mein aise hadson se kya mafar

    aaya qasid ka janaza mere name ka jawab

    ye mahal meri tamannaon ka ai ‘ahmad-uruj'

    jaise bachchon ka gharaunda jaise diwane ka KHwab

    Source:

    Samt-e-Safar (Pg. 144)

    • Author: Urooj Qadri
      • Publisher: Markazi Maktaba Islami Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now