main bichhDon ko milane ja raha hun
maiñ bichhḌoñ ko milāne jā rahā huuñ
chalo dīvār Dhāne jā rahā huuñ
karoḌoñ ḳhushk lab haiñ saath mere
samundar ko sukhāne jā rahā huuñ
musalsal āñsuoñ kī fauj le kar
maiñ sūraj ko bujhāne jā rahā huuñ
udhar kuchh log kab se ro rahe haiñ
unheñ Dhāras bañdhāne jā rahā huuñ
udhar marham lagā kar aa rahā huuñ
idhar marham lagāne jā rahā huuñ
ye duniyā ab kisī qābil nahīñ hai
qayāmat ko bulāne jā rahā huuñ
yahāñ milnā milānā kuchh nahīñ hai
magar maiñ ḳhaak chhāne jā rahā huuñ
jinheñ chehra badalnā ho badal leñ
maiñ ab parda uThāne jā rahā huuñ
jahāñ jā kar kabhī lauTā nahīñ maiñ
vahīñ phir jā ke aane jā rahā huuñ
huā sahrā-nashīñ phir 'farhat-ehsās'
use vāpas bulāne jā rahā huuñ
main bichhDon ko milane ja raha hun
chalo diwar Dhane ja raha hun
karoDon KHushk lab hain sath mere
samundar ko sukhane ja raha hun
musalsal aansuon ki fauj le kar
main suraj ko bujhane ja raha hun
udhar kuchh log kab se ro rahe hain
unhen Dhaaras bandhane ja raha hun
udhar marham laga kar aa raha hun
idhar marham lagane ja raha hun
ye duniya ab kisi qabil nahin hai
qayamat ko bulane ja raha hun
yahan milna milana kuchh nahin hai
magar main KHak chhane ja raha hun
jinhen chehra badalna ho badal len
main ab parda uThane ja raha hun
jahan ja kar kabhi lauTa nahin main
wahin phir ja ke aane ja raha hun
hua sahra-nashin phir 'farhat-ehsas'
use wapas bulane ja raha hun
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 83)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.