main ek dil ke itne KHaridar dekh kar
maiñ ek dil ke itne ḳharīdār dekh kar
ghabrā gayā huuñ raunaq-e-bāzār dekh kar
koī gavāh hai hī nahīñ aap ke ḳhilāf
sakte meñ aa gayā huuñ taraf-dār dekh kar
tā-'umr mujh ko koī sahārā na mil sakā
aañsū nikal paḌe haiñ 'azādār dekh kar
jo log bolte the bikā.ū nahīñ haiñ ham
vo bik ga.e haiñ chashm-e-ḳharīdār dekh kar
shahr-e-sukūt kā huuñ talabgār dosto
uktā chukā huuñ raunaq-e-bāzār dekh kar
main ek dil ke itne KHaridar dekh kar
ghabra gaya hun raunaq-e-bazar dekh kar
koi gawah hai hi nahin aap ke KHilaf
sakte mein aa gaya hun taraf-dar dekh kar
ta-'umr mujh ko koi sahaara na mil saka
aansu nikal paDe hain 'azadar dekh kar
jo log bolte the bikau nahin hain hum
wo bik gae hain chashm-e-KHaridar dekh kar
shahr-e-sukut ka hun talabgar dosto
ukta chuka hun raunaq-e-bazar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.