main hun zalim ki aan-ban se KHush
maiñ huuñ zālim kī ān-bān se ḳhush
varna hai kaun āsmān se ḳhush
nā-ḳhushī kā ḳhayāl thā lekin
vo hue merī dāstān se ḳhush
is tarah bas meñ aa gayā koī
kar liyā maiñ ne phuul paan se ḳhush
is qadar ġham hai mere qātil ko
jis qadar maiñ huuñ imtihān se ḳhush
ḳhaak pahuñchegā vo sar-e-manzil
jo musāfir huā takān se ḳhush
ek ko jhiḌkī ek ko dhamkī
kaun hai aap kī zabān se ḳhush
chhoḌ kar dil ko dard jaa.e kahāñ
ye makīñ hai isī makān se ḳhush
paas koī pahuñch nahīñ saktā
is liye haiñ vo pāsbān se ḳhush
jān-o-dil donoñ aap le jaa.eñ
maiñ huuñ sau dil hazār jaan se ḳhush
sāqī-e-mai-farosh rahtā hai
apnī chaltī huī dukān se ḳhush
'nūh' ko chain umr bhar na milā
kyā hoñ vo apne imtihān se ḳhush
main hun zalim ki aan-ban se KHush
warna hai kaun aasman se KHush
na-KHushi ka KHayal tha lekin
wo hue meri dastan se KHush
is tarah bas mein aa gaya koi
kar liya main ne phul pan se KHush
is qadar gham hai mere qatil ko
jis qadar main hun imtihan se KHush
KHak pahunchega wo sar-e-manzil
jo musafir hua takan se KHush
ek ko jhiDki ek ko dhamki
kaun hai aap ki zaban se KHush
chhoD kar dil ko dard jae kahan
ye makin hai isi makan se KHush
pas koi pahunch nahin sakta
is liye hain wo pasban se KHush
jaan-o-dil donon aap le jaen
main hun sau dil hazar jaan se KHush
saqi-e-mai-farosh rahta hai
apni chalti hui dukan se KHush
'nuh' ko chain umr bhar na mila
kya hon wo apne imtihan se KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.